People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 8 *

Dekh Idhar O Jadugar
Singer: Asha Bhosle
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Dekh-Idhar-O-Jad
Video:
dekh idhar o jadugar
dekh idhar o jadugar
hamen ghayal kar ke chala hai kaha
dekh idhar o jadugar
hamen ghayal kar ke chala hai kaha
chala hai kaha dekh idhar o jadugar

dil par dore dal ke tune kar liya hamko bas me
dil par dore dal ke tune kar liya hamko bas me
pahale hi mel me kha baithe ham mar mitane ki kasame
pahale hi mel me kha baithe ham mar mitane ki kasame
tirachhi najar thi ya kanjar
hamen ghayal kar ke chala hai kahan
chala hai kahan dekh idhar o jadugar

aa ho o o he ye ye aa aa
pal do pal ki hain yeh bahare pal do pal ke mele
pal do pal ki hain yeh bahare pal do pal ke mele
kya jitega dil ki baji jo dar dar kar khele
soch naa kar banke dilabar
hamen ghayal kar ke chala hai kahan
chala hai kahan dekh idhar o jadugar
o jadugar hamen ghayal
are hamen ghayal kar ke chala hai kahan
chala hai kahan, dekh idhar ho jadugar
ho jadugar, ho jadugar, ho jadugar
hamen ghayal kar ke chala hai kahan
dekh idhar ho jadugar

oy jadugar
hamen ghayal kar ke chala hai kahan
dekh idhar ho jadugar
hamen ghayal kar ke chala hai kahan
dekh idhar ho jadugar
Tum Chalo Hamare Saath
Singer: Asha Bhosle
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Aag-Lagi-Bangle-
ho bhole piya
tum chalo hamare sath balama, dariyo na
aag lage bangale me ho balama, aag lage bangale me
tum chalo hamare sath balama
chalo hamare sath balama, dariyo na
aag lage bangale me ho balama, aag lage bangale me

yeh naina aur yeh honth phul hain chhuri nahi
chhuri nahi, chhuri nahi
duniya ko har ke dil ki jit kuchh buri nahi
buri nahi, buri nahi
ho bhole piya tumhe meri kasam, koyi kariyo na gam
tum chalo hamare sath balama
chalo hamare sath balama, dariyo na na
aag lage bangale me ho balama
aag lage bangale me ho balama, aag lage bangale me

kar lo ji aankhe char pyar se daro nahi
daro nahi, daro nahi
jine ke din hain sarakar aaj tum maro nahi
maro nahi, maro nahi
ho bhole piya tumhe meri kasam, koyi kariyo na gam
tum chalo hamare sath balama
chalo hamare sath balama, dariyo na na
aag lage bangale me ho balama
aag lage bangale me ho balama, aag lage bangale me

yeh hain mastane din-rat laut ke aayenge na
aayenge na, aayenge na
aur laut ke aa bhi gaye toh hamako payenge na
payenge na, payenge na
ho bhole piya, tumhe meri kasam koyi kariyo na gam
tum chalo hamare sath balama
chalo hamare sath balama, dariyo na na na na
aag lage bangale me ho balama
aag lage bangale me ho balama, aag lage bangale me
Oonche Sur Mein Gaye Ja
Singer: Kishore Kumar
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Oonche-Sur-Mein-
Video:
unche sur me gaye ja, masti me lahraye ja
dunia ke bazar me apna band bajaye ja
unche sur me gaye ja, masti me lahraye ja
dunia ke bazar me apna band bajaye ja

dunia ke bojh ko sar se utar de
chinta ke bhut ko banduk mar de
dunia ke bojh ko sar se utar de
chinta ke bhut ko banduk mar de
kyu bhai maine thik kaha ha bhai tune thik kaha
are tab fir maine thik kaha
unche sur me gaye ja, masti me lahraye ja
dunia ke bazar me apna band bajaye ja

dunia ki gadiya
dunia ki gadiya chalti hai juth par
dunia ko mar de bate ke but par

dunia ke fer me padna fazul hai
jindagi usi ki hai jo ki damphul hai
dunia ke fer me padna fazul hai
jindagi usi ki hai jo ki damphul hai
kyu bhai maine thik kaha tumne bikul thik kaha
are tab fir maine thik kaha
unche sur me gaye ja, masti me lahraye ja
dunia ke bazar me apna band bajaye ja
Dum Hai Baqi Toh Gham Nahi
Singer: Asha Bhosle
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Dum-Hai-Baqi-To-
Video:
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi

aankh wo kya, dil hi wo kya jo na kare koi khata
aankh wo kya, dil hi wo kya jo na kare koi khata
hath badha saj utha dunia ka gum kare apni bala
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi

kal ke liye aaj na dhal, dil se mita gum ka asar
kal ke liye aaj na dhal, dil se mita gum ka asar
sochna kal aah na bhar, aanhko me basera kar dil me utar
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi

rut hai jawa waqt hasi jashn rahe aaj yahi
rut hai jawa waqt hasi jashn rahe aaj yahi
kal ka yakin hamko nahi, tham hi na jaye kahi ghumti jami
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
dum hai baki to gum nahi aish ke raste kam nahi
Pichhe Pichhe Aakar
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Pechhe-Pechhe-Aa
Video:
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho

dekho na baabuji daaye baaye, panv kahi ulajh na jaaye
dekho na baabuji daaye baaye, panv kahi ulajh na jaaye
chaahat ke raste me pher bade hai
giroge fisal ke chalna sambhal ke chhup chhup jaana
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho

chori chori aake mori saiya, chumo aur thaamo mori baiya
chori chori aake mori saiya, chumo aur thaamo mori baiya
jaao ji tum se diler bade hai
aaye jo akad ke maarungi pakad ke chhup chhup jaana
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho

jhalak dikhaake tarasaau par kabhi pakadi na jaau
jhalak dikhaake tarasaau par kabhi pakadi na jaau
tum jaise mitti ke sher bade hai
hansake machal ke haatho se nikal ke chhup chhup jaana
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho
pichhe pichhe aa kar chhu lo hame pa kar chhup chhup jaana ho
Chup Hai Dharti
Singer: Hemant Kumar
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Chup-Hai-Dharti-
Video:
chup hain dharatee, chup hain chanad sitare
mere dil kee dhadkan tuj ko pukare

khoye khoye se yeh mast najare
thhahare thhahare se yeh rang ke dhare
dhundh rahe hain tuj ko sath hamare

kone kone mastee fail rahee hai
bahe banakar hastee fail rahee hai
tuj been doobe dil ko kaun ubhare

nikhara nikhara sa hai, chand kaa joban
bikhara bikhara sa hain nur kaa daman
aaja mere tanahaee ke sahare
Teri Duniya Me
Singer: Hemant Kumar
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Teri-Duniya-Mein
Video:
teri duniyaa me jine se to behatar hai ki mar jaae
vohi aansu, vohi aahe, vohi gam hai jidhar jaae
teri duniyaa me jine se to behatar hai ki mar jaae

koi to aisaa ghar hotaa jahaa se pyaar mil jaataa
vohi begaane chehare hai jahaan pahunche jidhar jaae
teri duniyaa me jine se to behatar hai ki mar jaae

are o aasamaan vaale bataa isame buraa kyaa hai
khushi ke chaar jhoke gar idhar se bhi guzar jaae
teri duniyaa me jine se to behatar hai ki mar jaae
Phaili Hui Hain Sapnon Ki Bahein
Music: S.D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/House-No.-44/Phaili-Hui-Hai-S
Video:
phaili huyi hai sapno ki bahe, aaja chal de kahi dur
wahi meri manjil wahi teri rahe, aaja chal de kahi dur
phaili huyi hai sapno ki bahe, aaja chal de kahi dur
wahi meri manjil wahi teri rahe, aaja chal de kahi dur

unchi ghata ke saye tale chhip jaye
dhundhli fiza me kuchh khoye khuchh paye
oh unche ghat ke
unchi ghata ke saye tale chhip jaye
dhundhli fiza me kuchh khoye khuchh paye
saanso ki lay par koyi aisi dhun gaye
dede jo dil ko dil ki panahe, aaja chal de kahi dur
phaili huyi hai sapno ki bahe, aaja chal de kahi dur

jhula dhanak ka dhire dhire hum jhule
ambar toh kya hai taro ke bhi lab chhule
jhula dhanak ka
jhula dhanak ka dhire dhire ham jhule
ambar toh kya hai taro ke bhi lab chhule
masti me jhule aur sabhi gham bhule
dekhe na pichhe mudke nigaahe, aaja chal de kahi dur
phaili huyi hai sapno ki bahe, aaja chal de kahi dur
wahi meri manjil wahi teri rahe, aaja chal de kahi dur